Pages

Sep 22, 2011

ZINDAGI

ZINDAGI



In khule pannon per kuchh shabd likh daaloon

ya wo hari bottle puri gatak dalun.

Sharaab ho ya shabaab nasha to chadhna hi hai,

aaj ho ya kal tujhko to marna hi hai.

Zindagi bas aaj hai aaj hi tak rahegi,

khul ke ji le ise kal to tujhko marna hi hai.



Aasmaan ki unchaiyon ki chaahat ise bhi hai use bhi thi,

zameen ki hakikat ko janna hi zindagi hai.

Ke is daud me aage to wo bhi hai hum bhi the kabhi,

gir kar pichhe chhute huon ko sahara dena hi zindagi hai.

Aaj tere daaman me ghum hai kal khushiyaan hongi,

khul ke muskura le dost teri is muskuraahat me hi to zindagi hai.


--- Gaurav kumar punit

1 comment:

  1. Mast Gaurav....bahut achchi kavita hai...aise hi likhte raho...v r waiting for ur next poem

    ReplyDelete